Mere mind mein kuch dino se ek baat chal rahi thi ki
Jab hum blogpost publish karte hain
To vo kaun si baatein hai jinka mujhe jrur khyaal rakhna chahiye.
Taaki Jo bhi blogpost main rank karwaane ki koshish karun
Usmein success haasil kar skoon.
Agar main blogging mein dimag se kaam nahi lunga
To mein success haasil nhi kar skta.
Mujhe mastermind banna hoga,
Tabhi jaakar main ek achha blogger kahlaane laayak ho paaunga.
Isliye mere dimag mein ek idea aayaa hai
Jo ki meri blog post ko rank karne mein kaafi useful hoga.
Main apni blog post publish karne se pahle in 15 baaton ka khyaal hamesha rakhunga.
Taaki meri post ke on page Seo mein koi kami naa rahe.
Article | On-Page SEO kya hai | Post Optimize karne ke 10 Tarike.
to chaliye shuru karte hai.
Write a catchy title
Agar mein ek blog post yaa ek video publish kartaa hoon
To koi bhi person meri post ya video ko dekhna kyun pasand karega.
Dekhna to door ki baat hai
koi bhi internet user uspe click bhi nhi karega.
Aise mein mujhe apni video
Ya blogpost ka title thoda hatke (Attractive)
Likhna hoga mtlab
Aisa attractive saa title jisko dekhte hi
User ka uspar click karne ko man kare.
For Example:-
1. 10 Aisi baatein jo aapko blogging ke bare mein nhi pta?
2. Ye hai 15 mistakes jinki vajah se aap traffic gain nhi kar paa rahe?
3. Ye 15 kaam jo aapko apni blog post publish karne se pahle jrur yaad rakhne chahiye.
4. 5 Aise ideas jinka use karke aap apne blog par traffic increase kar paayenge.
5. 10 Aisi baatein jo aapko is umar (????) se pahle kar lenni chahiye?
6. 5 Best blogging tools jinke baare mein shayad aapko naa ptaa ho?
To Ye the kuch attractive example
Jinko read karke user blog post
Par aane ke liye majboor ho jaaegaa.
Yahi to chahiye tha mujhe.
Ab to main hamesha apni blog post Ya Youtube
Video ka title Catchy aur attractive diyaa karungaa.
Make sure it’s easy to read
Hmm … agar meri site par koi user article read kar rha hai
To main us article ko kis type se write karoon ki
User ko read karte time koi bhi problem face naa ho,
Aur vah person article ko achhi tarah se smjh ske.
Iske liye main ek kaam kar sktaa hoon.
Read Also
1. 20+ Secret Tips To Increase Search Engine Traffic (2019)
2. 10 SEO Myths जो आपको जरूर पता होने चाहिए।
Main apni blog post mein small-small paragraphs use karunga.
Taaki user ko read karte time boring feel naa ho.
Aur ek baat mujhe apni
Post ko mostly mobile user ko dhyan mein rakhkar likhna hoga.
Kyunki kaafi baar dekha gya hai ki
Hum jab bhi padhne (mobile and PC ) kaa kaam karte hai
To mobile ko jyada preference dete hai.
To ab main mobile device ko dhyaan mein rakh kar
Hi post write kiya karunga.
1000+ Words.
Mujhe apni har blog post ko 1000+ words ka rakhna hai.
Taaki mere dwara di gayi info sahi aur puri ho.
Mujhe apni post ko jyada bdaa bhi nhi karnaa hai,
Taaki users read karte time boring naa feel kare.
SEO Your Post
Agar mujhe apni blog post ko
Google ke first page par rank krni hai
To mujhe apni post ka SEO karnaa hoga,
Jaise ki post mein sahi tarike se
Headings use karni hai
For exp: 👉 H1, H2, H3, H4, H5, H6.
Blog ke Search description mein achhe
Aur post se related keyword insert karne honge.
Isliye agar aapne Headings “H1 to H6” tak keyword use kiye hai
To aap befikr hokr inhe copy
karke search description mein insert kar skte hai.
Add SEO ready images
Mujhe apni blog post yaa video mein
Kaun -Kaun si images ko use karna chahiye.
Haan…👀
Main apni post yaa video mein
Apne content se milti julti hi image add karunga
Taaki user ko dis-turbans naa ho.
Agar meri post or video technology se related hai
To mujhe technology se related hi
Kisi image ko choose karna hoga,
Aur agar meri post health se related hai
To mujhe health category mein se kisi image ko
Choose karna hoga.
Iska mujhe fayda ye hoga ki jab bhi koi
User meri site visit karega
To uska experience bahut achha hoga.
Resize your images
Agar mujhe apni site par jyada traffic chahiye
To mujhe apni site ki speed fast rakhni hogi.
Isliye main apni site par jo bhi image use krunga
Unhe resize karne ke baad hi use krunga.
Iska mujhe sabse bada fayda yah hoga ki
Meri site/blog ki speed decrease nhi hogi.
Jisse user jyada se jyada mere blog ya site ko
Like karenge aur jyada time tak meri site ko browse karenge.
Long time tak site browse karne ka
Mujhe yah fayda hoga ki mere blog ka bounce rate nhi badhegaa
Jisse site ki ranking mein sudhaar hoga.
Add alt text to your images
Main apni post ki tarah hi
apni images ko bhi rank karwana chahta hoon,
Taaki mujhe apni image ke through bhi traffic mil ske.
To iske liye mujhe Search engine
Ko btana padega ki meri jo
Image hai vah is XXX ? Etc…. topic se related hai.
Kyonki search engine meri image ko read nhi kar payega.
Isliye search engine ko btaane ke liye
Mujhe apni image mein alt text add karna padega.
Ek baat aur mujhe apni post ki
Images mein unhi text ko add karnaa hai
Jo meri post ka main keyword ho.
Isse search engine ke liye smjhne mein easy ho jaaegaa
Aur jab bhi koi search karega ki
Blog post publish karne se pahle kaunsi
baatein dhayaan mein rakhni chahiye.
To search engine meri post
Aur image ko first mein show kregaa.
End with a Question + Call to action
Mujhe apni blog post ko kuch is
Tarah likhna hoga
Taaki users us blog post par
Apne ideas share kar ske,
Aur ye kaise ?
Ye hoga Question puchne se.
Mujhe apni post ke end mein
Visitors ke liye question insert karnaa hoga,
Taaki visitors bhi apne thoughts share kar skein.
Mujhe unko majboor karnaa hoga
share karne ke liye,
Comment karne ke liye etc..etc
For example:- Agar aapke pass SEO yaa traffic se
Related koi tips hai to hmse share jrur karein..
Hum un tips ko aapke naam ke
Saath is article mein jrur publish (update) karenge.
Maine aapko blog post publish karne se pahle
kya-kya karna jaruri hai..
iske liye 15 tips btaaye hain..
In sabhi mein se aapko konsa best lagaa
Apne vichar comment box mein jrur btaayein.
Ye article to tha Blog post publish karne se pahle
kin-kin baaton ka dhyaan rakhna chahiye…
Ab aage mujhe konsa article likhna chahiye..
Taaki main aapki help kar skoon….?
Ab aapke visitors ye to read kar hi chuke hain ki
Blog post publish karne se pahle kin-kin
Baaton ka dhyan rakhna chahiye…
To unke mind mein question hoga ki
Publish karne se pahle to ye tips hain,
To publish karne ke baad konse tips honge ?
Ho gya naa Call To action 👀
9. Add links to your other posts/articles.
Agar meri post kisi user ko pasand aati hai
To vah jrur hi mere dwara likhe gye
Others articles ko read karna kaafi pasand karega.
Aur is case mein agar use second article
Read karne ke liye
Thoda struggle karna pade
To user experience khraab hoga
Jiski vajah se visitors decrease honge..
Jyada asar to nhi padega
Lekin yah bhi ek factor hai.
So main apni har post mein usse related
Posts ka link add karungaa.
Taaki user / Visitors jyada der tak mere blog par time spend kare.
Jisse ki bounce rate nhi badhegaa.
Aur google ko bhi lagega ki hmaari post mein quality content hai.
at the end automatic hi hamare blog ki
Rankng mein ijafaa hoga.
10. Make it downloadable.
Hmm. agar mere article read karne ke liye
Koi user aataa hai aur usi waqt use koi jruri kaam ho jaaye
But..vah mere article ko read karna chahta hai
To is case mein uske liye uski
Help karne ke liye apni post/article ko download able bnaaunga.
Kyonki download karne ke baad
Vah user any time jab bhi usko time mile
Vah meri post ko read kar sktaa hai..
In case agr use article pasand aataa hai
To kaafi chances hai ki vah users
Dobara jrur meri site par visit karega.
Jisse ki blog author aur visitors ke beech mein
Ek bond create hoga.
Jo traffic ko balance rakhne mein
Best way hoga.
Make it shareable
Agar kisi user ko mere dwara likha gya article pasand aataa hai
To 80 percent chances hai ki vah us
Article ko apne friends / circle mein jrur share karna chahega.
In case mere blog mein jruri ho jaataa hai ki
Ismein share karne ke buttons available hon.
Taaki users article ko share kar ske.
Aur users article ko share karte hai
To google (search engine) ko bhi lagega ki
Hmara content kaafi achha hai,
Tabhi to log share kar rahe hai.
Varnaa buri cheej ko kaun share karta hai.
Isliye main hmesha hi apne baare mein naa sochkar
Users ki requirement ke baare mein sochunga
Aur uski problem solve karunga.
Jisse ki Traffic aur visitors automatic hi increase honge.
Mujhe apne users ko khush rakhna hoga.
Dr. Vivek bindra ji kahte hai ki problem solving product bnaao
Public apne aap hi aapse jud jaaegi.
Credit your source
Blog post ko Attractive banane ke liye
Mujhe usmein images ko
To add karna hi padega.
Aur un images ko use karne ke liye
Unhe credit dena padta hai
Kyonki bahut si sites copyright free images provide nhi karti.
So agar mujhe apni post ko attractive
Aur user experience ko behtar banana hai
To images ko jarur use karna hoga.
Kyonki bahut si studies mein
Ptaa chal chuka ki human mind
Text ke mukable
Images dekhne ke liye jyada active aur eager rahta hai.
So user meri post ko read karte time boring feel naa kare.
Isliye main images ko jrur use karunga.
But copyright free images ho to bahut achhi baat hai?
Iske liye mujhe kuch sites ka ptaa hai
Jo bina attribution/source ke hmein images ko
Use karne ka right deti hai.
Badle mein agar mein unke
Photographers ko thanks bolna chahun To bol sktaa hoon.
Free images site 👇
1. Pexels.com
2. Pixabay.com
3. Unsplash.com
Embed YouTube video
Agar main ek You-Tuber hoon to
Main apni blog post mein You-Tube video ko jrur add karungaa.
Jisse ki meri post ki rank karne ki possibility badh jaaegi.
2nd agar user ke pass time kam hai
Yaa vah text ko read karna pasand nhi kartaa
To vah meri You-Tube video ko jrur dekhega.
3rd User mere blog par jyada time spend karega.
Jisse ki site ka bounce balance mein rahega.
4th Agar user ko aapki video pasand aati hai
To vah aapke You-Tube channel ko jarur subscribe karega.
Jisse ki aapke subscriber mein ijafa hoga.
At the end mujhe You-Tube channel par jyada views
Aur You-Tube video mein
Agar maine apni website ka link diya hai
To user jrur mere blog par visit karenge.
Add Podcast
Ye baat thodi ajeeb si hai naa ki main
Apni blog post mein audio kyun add karnaa cahunga.
But janaab mere liye user ko special feel krana first priority hai.
Mujhe kaise bhi user ko apne blog par pakd kar rakhna hai.
Isliye agar user text read karna pasand nhi karta
To vah meri site se back jaane ki koshish karega.
But us situation mein use video rok legi.
Aur vah video dekhna pasand karega.
kyonki yah baat to main pahle bhi
Kah chuka hoon ki hamara mind
Images ko jyada pasand kartaa hai.
So user video jrur dekhega.
At Last 👇
Unfortunately user ko video bhi pasand nhi aati
To audio ko jrur play karega.
jismein main uski problem
Solve karne ki har possible help karunga.
Mera focus yahi hoga ki user/visitors
Jyada se jyada time mere blog par spend karen.
Aur uske liye mujhe users ki help karni hogi,
Achha content/articles likhne honge.
Visitors automatic hi increase ho Jayenge.
Publish it
Mujhe lagta hai ki ye sabhi Topics
Post publish karne se pahle yaad rakhne ke liye kaafi hai.
Baaki hum time to time is post ko update karte rahenge.
In 15 tips mein se
Aapko konsa sabse achhi laga
20+ Ever Best Free SEO Tools in Hindi (2019)
hmein apne vichar comment box mein jrur btaaein.
Hum Milenge aapse apne future articles mein
Tab tak ke liye khush rahiye
Aur blogging, SEO and Traffic se
Related articles ke liye Deep blogging par visit karte rahiye.
Sharing is Caring